Kya aapne CEN-02/2018 ke liye Railways Patna Division se group D exam ko attend kiye the? Yadi ha to aap surely RRB Patna Group D ka result check karana chahte honge. To hamane isi tarah ki help karane ke liye ye post likhi hai, jisme aap apna result check karane ka best tarika jan sakenge.
RRB Patna Group D Result 2018-19 Released Dates
February 2018 me RRB me lagbhag 62000 vacant group d post ke liye notification released kiya tha. jImse RRB Patna Group D post ke liye about 6000 post thi. Jiske liye recent me hi lakhon candidates ne CBT exam ko attend kiya. Jiska result labhbagh 3 months ke bad aane ki possibility hai, lekin candidates ki numbers bahut jyada hone ke karan late ho sakti hai.
Lekin is bich Good News aayee hai ki RRB Patna Group D ka result February 2019 me aa sakti hai. Isliye iski suchana sabse pahle pane ke liye Notification & Email Service Subscribe kar len.
RRB Patna Group D Recruitment & CBT Exam Details
Railway Recruitment Board ne 10 February 2018 ko CEN 02/2018 release kiya tha, jismen RRB Patna Division ke liye lagabhag 6000 Group D post vacant thi. Jiske liye 17 September se December 2018 tak CBT exam organise kiya gaya tha.
Name of Vacancy | RRB Group D |
Number of Post | 5981 |
Starting Date | 10 Feb 2018 |
Last Date | 31 March 2018 |
Exam Date | 17 Sept – Dec 2018 |
Result | Feb 2019 Expected |
Vacant Post by Category Wised
Category | Post Number |
---|---|
UR | 3016 |
SC | 899 |
ST | 450 |
OBC | 1614 |
Total | 5981 |
RRB Patna Group D Result Check Kahan Kare
RRB Patna East Central Railway Region me aata hai. Jiske andar Danapur, Mugalsarai, Dhandbad, Sonpur aur Samastipur jaise Divisions aate hai. Jiska result RRB Patna ke official website par release kiya jayega, jahan aap bade asani se apa result check kar sakaenge.
RRB Patna Group D Result Check Kaise Kare
Digital age me result check karan behad easy hai. Old age ki tarah Cyber Café me jane ki jarurat nahi. Bas keval aapko ek smartphone ki jarurat padegi, jismen internet ho.
Ab following tariko ko follow kare.
1.RRB Patna ke official website par visit kare.
2.Ab home page par CEN 02/2018 par click kare.
3.Iske bad aap result page par aa jayenge, jahan aapko registration number and date of birth enter karna hai.
4.Is tarah aapka result show hoga, use download kar len.
RRB Patna Result Ke Bad Kya Kare
Yadi aap is exam me cut off marks lane me safal rahte hai to aapko PET aur document verification ke liye bulaya jayega. Vaise khushi ki baat hai ki, is baar PET ke 3 guna aur Document Verification ke liye double candidates ko bulaya jayega.
Yadi aap is post ko helpful pate hai to Facebok, Twitter and Whatsapp par share kare.
Leave a Reply